main nahin kahta har ek chiz purani le ja

main nahin kahta har ek chiz purani le ja
mujh ko jine nahin deti jo nishani le ja

ek ban-bas to jina hai tujhe bhi ai dost
apne hamrah koi ram-kahani le ja

jin se ummid hai sahra mein ghani chhanw ki
un darakhton ke liye dher sa pani le ja

sach ko kaghaz pe utarne mein ho khatra shayad
meri sochi hui har baat zabani le ja

wo jo baithe hain haqiqat ka tasawwur le kar
aise logon ke liye koi kahani le ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close