main pursish-e-gham-e-furqat ki dad deta hun teri latif nadamat ki dad deta hun malal-e-tark-e-marasim to kuchh nahin lekin is ehtiyat-e-mohabbat ki dad deta hun kahan bahisht kahan zindagi magar naseh main tere husn-e-aqidat ki dad deta hun tabahiyan bhi mohabbat ko ras aa na sakin sitam-zarifi-e-fitrat ki dad deta hun o muskura ke nigahon ko pherne wale main tere azm-e-baghawat ki dad deta hun mere khulus ko lafzon se napne walo tumhaare husn-e-basirat ki dad deta hun kisi se sunta hun jab dushmani ka zikr 'arshad' to doston ki inayat ki dad deta hun