main shama-e-bazm-e-alam-e-imkan kiya gaya insaniyat ko dekh ke insan kiya gaya ab mere imtihan ka saman kiya gaya yani supurd-e-alam-e-imkan kiya gaya mahfuz main ne rakkhe junun ke tabarrukat daman agar phata to gareban kiya gaya tai kar ke irtiqa ke manazil ko shauq se pahuncha jab apne had pe to insan kiya gaya sach puchhiye to kya tha faqat ek khar-zar mere liye jahan ko gulistan kiya gaya dariya to aur bhi the zamane mein be-shumar aab-e-hayat chashma-e-haiwan kiya gaya kuchh aur raushni ka badha husn ya nahin fanus mein jo shoale ko pinhan kiya gaya