main TuTta rahun aisi teri raza to nahin

main tutta rahun aisi teri raza to nahin
hawa-e-tund mein shamil teri ada to nahin

main chaunk utha hun bahut apni chup ke sahra mein
jo aa rahi hai kahin meri hi sada to nahin

na jaane kaun si manzil shikast ki aai
meri pukar mein pahle ye dard tha to nahin

fughan pe tang hua lafz-o-saut ka sahra
mera kharaba-e-jaan be-kanar tha to nahin

guzar saka na koi is dayar se ab tak
sukut-e-dil ke pas-e-parda ek khala to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close