maine har dard ko ek biti kahani samjha

main ne har dard ko ek biti kahani samjha
khun jo aankh se tapka use pani samjha

mujh ko maghrur na samjhe ai meri khamoshi
ja use gahre samundar ki rawani samjha

apne haalat sunae the use sheron mein
wo mere sher ko apni hi kahani samjha

apne qatil pe mujhe rahm bahut aata hai
jazba-e-ishq ko masum ne fani samjha

wo hai 'imran' samajon ke usulon ka ghulam
us ko nahaq na mohabbat ke maani samjha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close