main ne kaha ki raaz chhupaya na jaega bole kisi se munh bhi lagaya na jaega ho ek do ghadi ka to hum ji pe sah bhi len aathon pahar ka gham to uthaya na jaega is na-murad dil ne ye thani hai ai khayal soi mohabbaton ko jagaya na jaega har ghuncha dil-girafta hua sun ke meri baat chhodo bhi ab wo qissa sunaya na jaega kis bhaari dil se jate hain hum us ke dar pe aaj sar jhuk gaya wahan to uthaya na jaega kis ki nazar ke kante pe tulta hai barg-e-gul tere subuk labon se bataya na jaega har lala us chaman ka hai be-dagh aarzu shabnam se ye charagh jalaya na jaega 'masu' bagh-e-hind mein kya aa gai bahaar hum se to is bahaar mein gaya na jaega