majaz par bhi zara chashm-e-haq-numa karna

majaz par bhi zara chashm-e-haq-numa karna
buton ki yaad mein ai dil khuda khuda karna

buton ka shewa to hai zulm-e-na-rawa karna
magar khabar nahin allah ko hai kya karna

jo ho sake to pas-e-marg ye kiya karna
utha ke hath meri qabr par dua karna

hain wo ye chahte pura mera kaha karna
mujhe bhi chahiye ab tark-e-muddaa karna

khiram-e-naz se pis jaun main ki mit jaun
niyaz-mand ko aata nahin gila karna

niyaz-nama to pahunchaega unhen lekin
haq-e-payam bhi ai nama-bar ada karna

jawan ho ke chhupaen wo raaz-e-dil kyunkar
ki shokhiyon ne sikhaya nahin haya karna

jafa-o-jaur par ai dil na shikwa munh se nikal
kahin na baithe-bithae use khafa karna

haris-e-lazzat-e-azar ko ye aata hai
saza ke shauq mein har feal na-saza karna

tumhaara dhyan to har-waqt hum ko rahta hai
khayal kuchh to hamara bhi tum ko tha karna

kiya hai ahd-e-mohabbat to phir nibah bhi ho
batao saf na karna hai tum ko ya karna

riya pasand nahin kibriya ko ai 'hamid'
ibaadat us ki jo karna to be-riya karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close