maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai har tifl ke yan ashk se aaluda waraq hai hun muntazir us mahr ke aane hi ka warna shabnam ki tarah aankhon mein dam koi ramaq hai dekh ai chaman-e-husn tujhe bagh mein khandan shabnam nahin ye gul pe khajalat se araq hai wo chand sa munh surkh dupatta mein hai rakhshan ya mahr kahun jalwa-numa zer-e-shafaq hai nargis ki zar-o-gul pe bhi wa chashm-e-tama hai is par ki zar-o-sim ka us pas tabaq hai dil us but-e-be-mehr ko de muft hi khoya kahte hain jo kuchh yar mujhe waqai haq hai juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar mein jab se ki tere ishq ka yan nazm-o-nasaq hai mazkur hua yan magar us gul ke dahan ka jo rashk se har ghuncha ka dil bagh mein shaq hai kar masqala-e-zikr se dil saf tu apna 'bedar' ye aaina tajalli-gah-e-haq hai