mali udas hai na ye gulshan udas hai aandhi mein sirf ek nasheman udas hai jamuna ke tir bajti hai 'niru' ki bansuri 'ranjhe' ka desh 'hir' ka madhuban udas hai mujh ko sakhi ka imtihan lena tha le liya meri bala se gar mera daman udas hai mahlon mein rahne wale zara hoshiyar bash mahlon ki samt dekh ke nirdhan udas hai ab ai lute musafiro malum to karo rahbar ko kya hua hai jo rahzan udas hai pairon ki dhul mathe ka chandan bani to kyun bas ye hi soch kar to barahman udas hai bad-shakl eqtidar ko bad-shakl kyun kaha darbar-e-adl mein bhi ye darpan udas hai ambar se kah do baadalon ko ab riha kare jhulon ki rut hai bahnon ka aangan udas hai