manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain

manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain
kuchh log hain is par to us par bahut hain

jis shahr mein patthar ki dukan kholi hai tu ne
us shahr mein shishe ke kharidar bahut hain

ab tak na bana pae koi taj-mahal aur
kahne ko to is shahr mein meamar bahut hain

tum shor-e-anal-haq ko daba hi nahin sakte
ye jaan lo mansur sar-e-dar bahut hain

khud apne samajhne ka nahin hai koi mear
auron ko samajhne ke to mear bahut hain

kuchh soch ke tum shahr ki rahon se guzarna
do ek jo apne hain to aghyar bahut hain

kahne ko to basti hai ye shorida-saron ki
diwane magar chand hain hushiyar bahut hain

kya paoge insaf ki zanjir hila kar
is shahr mein qatil ke taraf-dar bahut hain

haalat sabhi ek hawadis bhi sabhi ek
khabren bhi sabhi ek hain akhbar bahut hain

main ja ke 'umar' apni ghazal kis ko sunaun
is shahr-e-sukhan-dan mein to fankar bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close