manzar-e-khema-e-shab dekhne wala hoga wo charaghon ko bujhaega ujala hoga sharbati aankhon mein kajal wo lagaega abhi raat ka rang abhi aur bhi kala hoga mujh ko thahre hue sahil se nahin thi ummid mujh ko bahte hue pani ne sambhaala hoga aaj phir us ne hatheli ko chhupaya man se aaj phir hath mein ujrat nahin chhaala hoga zindagi palken bichha de ki badi mushkil se maut ne tere liye waqt nikala hoga