manzar ka ehsan utara ja sakta hai aankh ko yara bhuka mara ja sakta hai aangan aangan aag ugai ja sakti hai kamron mein dariya ka kinara ja sakta hai kirchi kirchi khwab chamakta hai aankhon mein un se ab duniya ko sanwara ja sakta hai bundon mein aaine ghole ja sakte hain chadar-e-tan mein safar guzara ja sakta hai jism-o-dil ki than jaane par yaad rakho jism ko jito dil to haara ja sakta hai jis basti ke rashan ghar mein khun bante wahan faqat lashon ko sanwara ja sakta hai jis aangan ki sanwaliyan roti jiten us ke tawe par chand utara ja sakta hai aatish-dan ka sina thanda ho sakta hai barf ka tukda ban ke sharara ja sakta hai