manzil-e-khwab hai aur mahw-e-safar pani hai aankh kya kholin ki ta-hadd-e-nazar pani hai aaina hai to koi aks kahan hai is mein kyun baha kar nahin le jata agar pani hai ek khwahish ki jo sahra-e-badan se nikli khinchti hai usi jaanib ko jidhar pani hai panw uthte hain kisi mauj ki jaanib lekin rok leta hai kinara ki thahar pani hai ab bhi baadal to barasta hai par us par kahin kisht-e-be-ab idhar aur idhar pani hai khinchta hai koi sayyara tere pyason ko us ilaqe mein jahan khak-basar pani hai chashm-e-nam aur dil labrez bahut hain mujh ko khitta-e-khak hai aur zad-e-safar pani hai