manzil-e-maqsud milti hai rah-e-tadbir se kuchh nahin hota hai hasil shikwa-e-taqdir se aaj dar jate hain mamuli si ek tazir se wo bhi din the jab gale milte the hum shamshir se nind ud jati hai us aawaz ki tasir se jab azan deta hai koi naghma-e-dil-gir se kya ladenge hum se wo talwar se shamshir se dil dahal jate hain jin ke nara-e-takbir se aaj phir chaaron taraf islam par yalghaar hai kaam lena hai hamein phir jazba-e-shabbir se jab kabhi main chahta hun apni surat dekhna aaine ka kaam leta hun teri taswir se jazba-e-josh-e-junun mera ab is manzil mein hai haal un ka puchhta phirta hun har rah-gir se chhod dena apna mahaul itna aasan bhi nahin jo andhere mein hain un ko kya gharaz tanwir se iztirabi kaifiyat hoti hai jab tere baghair dil ko bahla leta hun aksar teri taswir se nabz-e-alam ruk gai hogi shab-e-isra zarur be-haqiqat zau-fishan hilti hui zanjir se ai 'musawwir' dekh ye bhi gardish-e-lail-o-nahaar mil gaya hai silsila takhrib ka tamir se