manzil-e-marg mein jine ki ada rakhta hun yani har haal mein andaz juda rakhta hun juz hawa koi nahin munis-o-gham-khwar magar raat-bhar kamre ka darwaza khula rakhta hun apni fitrat ko sikhata hun ghulami teri mauj-e-azad ko zanjir-ba-pa rakhta hun gum hun qatre ki tarah waqt ke dariya mein magar apni hasti ka tilismat juda rakhta hun zer-e-pa hain mere sahraon ke jalte maidan sar pe aalam ke shoalon ki rida rakhta hun bahr-e-azar bhi hai hadd-e-nazar tak raqsan jazba-e-shauq agar had se siwa rakhta hun meri fariyaad pe kab bab-e-inayat khula hae kis munh se kahun main bhi khuda rakhta hun gham na kar tu hai agar khu-e-kharabi ka asir main bhi aalam se paiman-e-wafa rakhta hun kyun nahin aks-e-abad mein bhi samundar jaisa naqsh-bar-ab hun khaliq se gila rakhta hun 'arsh' main khud hun sada apne sukun ka dushman dasht-e-ummid bhi bar-dosh-e-hawa rakhta hun