manzil hai to ek rasta-e-dushwar mein gum hai rasta hai to pech-o-kham-e-dildar mein gum hai jis din se milta tha khuda khana-e-dil mein mulla ke sajae hue bazar mein gum hai ajza-e-safar warta-e-hairat mein pade hain raftar abhi sahib-e-raftar mein gum hai sail hain ki umde hi chale aate hain paiham wo shokh magar apne hi didar mein gum hai wo husn-e-yagana hai koi shahr-e-tilismat har shakhs jahan raston ke asrar mein gum hai ashkhas ke jangal mein khada soch raha hun ek nakhl-e-tamanna unhi ashjar mein gum hai ya husn hai na-waqif-e-pindar-e-mohabbat ya ishq hi aasani-e-atwar mein gum hai ai kash samajhta koi pas-manzar-e-paigham duniya hai ki pairaya-e-izhaar mein gum hai