maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe hain chashm-o-dil ghar us ke jahan chahe wan rahe misl-e-nigah ghar se na bahar rakha qadam phir aae har taraf ye jahan ke tahan rahe ne but-kada se kaam na matlab haram se tha mahw-e-khayal-e-yar rahe hum jahan rahe jis ke ki ho naqab se bahar shua-e-husn wo ru-e-aftab khajil kab nihan rahe aae to ho pa dil ko tasalli ho tab mere itna kaho ki aaj na jawenge han rahe hasti hi mein hai sair-e-adam us ko yan jise fikr-e-miyan-e-yar o khayal-e-dahan rahe ghibat hi mein hai us ki hamara zuhur yan wo jalwa-gar jab aage hua hum kahan rahe 'bedar' zulf khinche idhar chashm-e-yar udhar hairan hai dil kahan na rahe kis ke han rahe