mar dala muskura kar naz se han meri jaan phir isi andaz se kis ne kah di un se meri dastan chaunk chaunk uthte hain khwab-e-naz se phir wahi wo the wahan kuchh bhi na tha jis taraf dekha nigah-e-naz se dard-e-dil pahle to wo sunte na the ab ye kahte hain zara aawaz se mit gae shikwe jab us ne ai 'jalil' dal den banhen gale mein naz se