mar gae par bhi na ho bojh kisi par apna ruh ke sath hua ho tan-e-laghar apna be-tarah dil mein bhara rahta hai zulfon ka dhuan dam nikal jae kisi roz na ghut kar apna yar sota nahin munh kar ke hamari jaanib kabhi karwat nahin leta hai muqaddar apna tum jo do phul chadhao to khushi ke mare qabr khul jae ye phule tan-e-laghar apna intizam aap ki sarkar mein yun lazim hai band-o-bast aap ka ghar mein rahe bahar apna hur bhi tum ho nigahon mein pari bhi tum ho ab to ai jaan dil aaya hai tumhin par apna nur barsati hai zulfon ki ghata chehre par panw us kuche mein phislega muqarrar apna nind furqat mein kahan maut se aane wali ghar se behtar hai jo takiye mein ho bistar apna khana-barbaad kya ishq ne tifli se hamein ki mita baithi gharaunde ki tarah ghar apna ab na kuchh bolte banti hai na chup rahte hamein na dil apna nazar aata hai na dilbar apna wada-e-wasl agar aaj bhi pura na hua ye samajh lijiye wada hai barabar apna khub-ru kuchh bhi agar banda-nawazi farmaen maldaron ko karen banda-e-be-zar apna be gala kate hue raat nahin katne ki sadqa abru ka diye jaiye khanjar apna dor hain silk-e-guhar par kahen ashaar ai 'bahr' qadr-dan ho to sunaen use jauhar apna