marham bhi mere zaKHm ka aazar se nikla

marham bhi mere zakhm ka aazar se nikla
iqrar ka pahlu tere inkar se nikla

tha teri raunat ke pas-e-parda koi aur
sar aur kisi ka teri dastar se nikla

kis shakhs ki rah dekhne betab sa ho kar
saya kabhi dar se kabhi diwar se nikla

yaadon ke kisi bab mein rakha hua koi khwab
sukhe hue ek phul ki mahkar se nikla

is sang-sifat shakhs ke lahje mein mohabbat
ya chashma-e-shirin kisi kohsar se nikla

duniya teri surat ke kharidar bahut the
lut kar hi gaya jo tere bazar se nikla

is khak ki tah mein thi koi mauj-e-bala-khez
lafzon ka samundar mere afkar se nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close