marna azab tha kabhi jina azab tha mera mushir ishq sa khana-kharab tha dil mar mita tilawat-e-rukhsar-e-yar mein marhum tiflagi se hi ahl-e-kitab tha socha to is habib ko paya qarib-e-jaan dekha to aastin mein chhupa aaftab tha wo bargah meri wafa ka jawaz thi is aastan ki khak mera hi shabab tha meri har ek subh thi aaghosh-e-dilbari meri har ek sham ka unwan sharab tha dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast is aashiqi mein khana hama aaftab tha kab is siyah-bakht ne chhoda kisi ka sath dasht-e-junun mein saya mera ham-rikab tha tu kab maal-e-jaur-o-jafa ko samajh saka tera jamal tere liye bhi hijab tha jis daur ko faqih ne isyan samajh liya us daur mein to pi ke bahakna sawab tha wo husn kis qadar adab-amoz tha 'zahir' qad khama-e-rawan tha to chehra kitab tha