mashaqqat ka khazana mangta hai meri mehnat zamana mangta hai har ek lamha dil-e-awara-fitrat masafat ka khazana mangta hai muqaddar se jise manga tha main ne use mujh se zamana mangta hai ajab pagal hai mere man ka panchhi qafas mein aashiyana mangta hai hamein har aan aamad-e-hijrat hamara aab-o-dana mangta hai sitam ye hai ki hum tishna-labon se sitamgar aabyana mangta hai hamare shahr ka mard-e-subuk-sar kulah-e-khusrawana mangta hai mera har ek munafiq yar mujh se khulus-e-dostana mangta he