mast-e-nigah-e-naz ka arman nikaliye

By sahir-dehlaviNovember 15, 2020
mast-e-nigah-e-naz ka arman nikaliye
be-khud bana ke bazm se ai jaan nikaliye
husn-e-nazara-soz ki hain lan-taraniyan
arman-e-did musi-e-imran nikaliye


pinhan hai kufr ishq mein iman-e-ashiqan
zulmat se nur-e-chashma-e-haiwan nikaliye
dam bhar mein dhoe jaenge sab dagh-e-masiyat
yak qatra ashk tajraba-saman nikaliye


tauhid mein hai naqsh-e-do-rangi hijab-e-zat
zauq-e-nazar ka hausla ai jaan nikaliye
jab jalwa-ha-e-wadi-e-aiman nazar mein hon
khatir se wahm-e-rauza-e-rizwan nikaliye


dil ko bana ke nuqta-e-parkar-e-afiyat
pa-e-talab ba-himmat-e-mardan nikaliye
zikr-e-khafi azal se hai wird-e-dil-o-zaban
shak hai to tan se tar-e-rag-e-jaan nikaliye


kaunain ain-e-ilm mein hai jalwa-gah-e-husn
jeb-e-khirad se ainak-e-irfan nikaliye
har jam mein hai aks-e-rukh-e-yar jalwa-gar
ai dil sabil-e-sohbat-e-rindan nikaliye


maqbuliyat sukhan ki hai 'sahir' jo rang-e-bazm
rang-e-ayar-e-tab-e-sukhan-dan nikaliye
75143 viewsghazalEnglish