mat baith waqt-e-naza tu yan ai hasin bahut ulfat na kar tu aah dam-e-wapsin bahut ye sach kare hai naz har ek naznin bahut aashiq-kushi ka chaw pa dekha yahin bahut hoti hai us ke dekhte haalat meri taghir har chand main sambhaalun hun apne tain bahut ye kaun jaane jhut hai ya sach wa-lek aaj us kam-sukhan ne pyar ki baaten to kin bahut ushshaq hi ko gham nahin mashuq ko bhi hai lekin ye farq hai kahin thoda kahin bahut