mata-e-harf bhi khushbu ke ma-siwa kya hai hawa ke rukh pe na jaun to rasta kya hai main zard bij hun aur sabz hona chahta hun meri zamin teri mitti ka mashwara kya hai ye meri kaghzi kashti hai aur ye main hun khabar nahin ki samundar ka faisla kya hai bikhar raha hun teri tarah main bhi ai zar-e-gul so tujh se puchhta hun tera tajraba kya hai
This is a great mata rani shayari in hindi. Please share if you liked this!!!