mauj-e-nashim-e-subh na josh-e-numu se tha jo phul srukh-ru tha khizan ke lahu se tha tere sukut ne ise viran kar diya dil bagh bagh tha to teri guftugu se tha ab dil ke rahguzar mein wo chandni kahan apna bhi rabt-o-zabt kisi mah-ru se tha muddat hui ki dil ka wo gulshan ujad gaya shadab jo tere nafas-e-mushkbu se tha khwab-o-khayal hain wo nashat-afriniyan raqs-e-bahaar dil mein teri aarzu se tha su-e-adab kahun ki ise be-takallufi 'raghib' bajae aap mukhatib wo tu se tha