mausam bhi khush-gawar zamana bhi ras hai lekin tere baghair mera ji udas hai ai husn-e-pur-hijab zara samne to aa in tishna-lab nigahon ko jalwe ki aas hai arsa hua hai tark-e-mohabbat kiye hue phir bhi na jaane kyun tere milne ki aas hai kahte hain kis ko ishq mujhe ye khabar nahin ek mitha mitha dard mere dil ke pas hai yun to bahut hain duniya mein zi-ruh hastiyan bas aadmi wahi hai ki jo gham-shanas hai bas aap ka hi nam hai wird-e-zaban huzur ye sari zindagi ka meri iqtibas hai 'shewan' ye iztirab-e-mohabbat ka hai karam dil kya udas sara zamana udas hai