maut aati nahin qarine ki ye saza mil rahi hai jine ki mai se parhez shaikh tauba karo ek yahi chiz to hai pine ki tumhein kahta hai aaina khud-bin baaten sunte ho is kamine ki ho gaya jab se be-naqab koi shama raushan na phir kisi ne ki chashm-e-tar aabru tu paida kar yun nahin bujhti aag sine ki ahl-e-duniya se kya badi ka gila ai 'tapish' tu ne kis se ki neki