maut insan ke jine ka badal hoti hai

maut insan ke jine ka badal hoti hai
zindagani mein hi poshida ajal hoti hai

ai mere katib-e-taqdir zara ye to bata
teri tahrir bhi kya radd-o-badal hoti hai

tum agar chaho to wo khun bhi de sakta hai
ek mazlum ki har baat atal hoti hai

sher-goi ki aziyyat bhi aziyyat hai ajib
quwwat-e-fikr har ek sher pe shal hoti hai

khun jalta hai mere jism ka pahle 'atish'
tab kahin ja ke meri ek ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close