maut thi zindagi thi yaad nahin
By kareem-roomaniJuly 3, 2021
maut thi zindagi thi yaad nahin
kaun mujh se mili thi yaad nahin
hum ne raushan to ki thi sham-e-wafa
wo jali thi bujhi thi yaad nahin
khak to ho gaya tha parwana
shama kyon ro padi thi yaad nahin
ashk shabnam pe muskuraate hain
aap the ya kali thi yaad nahin
koi mil ke gale to rota tha
aap the ya khushi thi yaad nahin
bazm-e-ishrat mein gham-zada dil tha
jaane kis ki kami thi yaad nahin
khum ke khum pi gaya tha nazron se
phir bhi kyon tishnagi thi yaad nahin
lab pe aah-o-fughan hai 'rumani'
dil-lagi thi lagi thi yaad nahin
kaun mujh se mili thi yaad nahin
hum ne raushan to ki thi sham-e-wafa
wo jali thi bujhi thi yaad nahin
khak to ho gaya tha parwana
shama kyon ro padi thi yaad nahin
ashk shabnam pe muskuraate hain
aap the ya kali thi yaad nahin
koi mil ke gale to rota tha
aap the ya khushi thi yaad nahin
bazm-e-ishrat mein gham-zada dil tha
jaane kis ki kami thi yaad nahin
khum ke khum pi gaya tha nazron se
phir bhi kyon tishnagi thi yaad nahin
lab pe aah-o-fughan hai 'rumani'
dil-lagi thi lagi thi yaad nahin
19468 viewsghazal • English