
maze jahan ke apni nazar mein khak nahin siwae khun-e-jigar so jigar mein khak nahin magar ghubar hue par hawa uda le jae wagarna tab o tawan baal-o-par mein khak nahin ye kis bahisht-shamail ki aamad aamad hai ki ghair-e-jalwa-e-gul rahguzar mein khak nahin bhala use na sahi kuchh mujhi ko rahm aata asar mere nafas-e-be-asar mein khak nahin khayal-e-jalwa-e-gul se kharab hain mai-kash sharab-khane ke diwar-o-dar mein khak nahin hua hun ishq ki ghaarat-gari se sharminda siwae hasrat-e-tamir ghar mein khak nahin hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke 'asad' khula ki faeda arz-e-hunar mein khak nahin
Please share if you liked this!!!