mehnat ke baad bhi milin nafrat ki roTiyan

mehnat ke ba'd bhi milin nafrat ki rotiyan
sab ke nasib mein kahan izzat ki rotiyan

aankhon se dekhne ki nahin chiz man ka pyar
par phir bhi dikhati use aurat ki rotiyan

jab jab hamari bhuk ki ye aag jal uthi
wo senk gae is pe siyasat ki rotiyan

hai swad un ka khub magar sach to yahi hai
pachti nahin sabhi ko ye shohrat ki rotiyan

biwi se hum ne sach ye chhupaya hai umr bhar
aurat se badi chiz hai aurat ki rotiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close