mera dil saf hai har shakhs se darpan ki tarah main to dushman se bhi milta nahin dushman ki tarah be-tahasha jo teri yaad kabhi aai hai ashk aankhon se barasne lage sawan ki tarah mere honton ke tabassum pe na jao yaro zindagi hai meri jalte hue indhan ki tarah barq rah rah ke chamakti hai chamakne dije hum banaenge nasheman ko nasheman ki tarah nang-e-kirdar mein bazm-e-bashariyyat ke liye hath phailaen jo phaile hue daman ki tarah maslahat ka ye taqaza hai ki bach kar rahiye aaj ka daur hai biphri hui nagan ki tarah roz khilte hain nae phul mere daman mein dur gulshan se mahakte hue gulshan ki tarah waqt ki baat hai hum takht-nashinan-e-jahan dar-ba-dar phirte hain muhtaj-e-nasheman ki tarah shukr sad-shukr zamane ki nigahon mein 'kamal' mera daman nahin maske hue daman ki tarah