mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya main chot kha ke magar apni qadr jaan gaya kahin ufuq na mila meri dasht-gardi ko main teri dhun mein bhari kaenat chhan gaya khuda ke baad to be-intiha andhera hai teri talab mein kahan tak na mera dhyan gaya jabin pe bal bhi na aata ganwa ke donon-jahan jo tu chhina to main apni shikast man gaya badalte rang the teri umang ke ghammaz tu mujh se bichhda to main tera raaz jaan gaya khud apne aap se main shikwa-sanj aaj bhi hun 'nadim' yun to mujhe ek jahan man gaya