mera ham-safar kabhi wahm tha kabhi khwab tha kabhi kya raha main ajib haal mein mast tha so mera mazaq bana raha meri mushkilon ne ayan kiya mera yar dost koi nahin so qabil-e-hirs-o-hawas mein main akela dat ke khada raha mere aashiyan ko jala gain mere kham soch ki hiddaten mera sar haya se na uth saka main nadamaton mein pada raha tujhe fakhr tha tere husn par mujhe zoam tha mere ishq ka tu padi rahi kisi sej par main bhi gard-e-rah bana raha tere lams lams se ji utha mere sard jism ka rome rome tu meri gali se chali gai main teri gali mein pada raha mere bagh-e-dil pe khizan rahi meri shakh shakh ujad gai mere panw khun se tar-ba-tar mera zakhm yun bhi hara raha