mera har zakhm hai daya ka wajud katta hai mujhe hawa ka wajud mere haalat masala nahin hain masala hai meri ana ka wajud man ka hona to aisi neamat hai jaise duniya mein hai dua ka wajud tujh se bichhda to main simatta gaya aur khulta raha khuda ka wajud manta hun main zindagi ko bhi han magar jaise baddua ka wajud