mera hi ban ke wo but mujh se aashna na hua wo be-niyaz tha itna to kyun khuda na hua shikan hamesha jabin par rahe to aadat hai mujhe yaqin hai wo mujh se kabhi khafa na hua tamam umr teri ham-rahi ka shauq raha magar ye ranj ki main mauja-e-saba na hua hijab-e-husn se badhti hai war-e-uryani yahi sabab hai main aazurda-e-haya na hua nashat-e-hijr ka khugar bana diya hota jafa-e-yar se itna bhi haq ada na hua hayat-o-hijr ka khud main ne intikhab kiya main qaid kab tha jo main qaid se riha na hua dayar-e-dard mein dil ne bahut talash kiya nasib-e-ishq magar tera naqsh-e-pa na hua 'zahir' soz-e-darun bhi ajab karishma hai main dur rah ke bhi us se kabhi juda na hua