mera hi dil hai bisat-e-hasrat wagarna duniya mein kya nahin hai

mera hi dil hai bisat-e-hasrat wagarna duniya mein kya nahin hai
bas aisa mahsus ho raha hai ki jaise mera khuda nahin hai

karamat-e-zauq-o-sehr-e-wijdan shaguftan-e-anjum-o-gul-o-mai
hai moajiza wusat-e-nazar ka koi ada khushnuma nahin hai

khizan dam-e-wapsin nahin hai bahaar ka ai gul-e-tamanna
hayat ek jazb-e-jawedan hai jahan matam-sara nahin hai

husul-e-maqsad giran nahin hai khulus-e-niyyat agar ho shamil
dua nahin baryab teri ki tu sharik-e-dua nahin hai

mera aqida bhi kaifiyat par hai zairan-e-sharab-khana
rahe na iman dost ki aankh par magar ye rawa nahin hai

isi jahan mein zaban-zad-e-am hain mohabbat ke sau fasane
yahin mere dost bhi hain 'shaukat' jinhen khayal-e-wafa nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close