mera khayal un ki tamanna kahen jise un ka guman ranjish-e-be-ja kahen jise main aarzu-e-maut kis ummid par karun wo jaanta hai rashk-e-masiha kahen jise sach puchhiye to nam isi ka hai zindagi hum istilah-e-ishq mein marna kahen jise uftadgi mein dil bhi sharik-e-alam nahin duniya mein aah kaun hai apna kahen jise sar phodna junun mein dalil-e-kamal hai farzangi-e-ishq hai sauda kahen jise dabicha-e-fana hai haqiqat mein zindagi yani sukun-e-hosh hai marna kahen jise mere khulus par bhi hazaron shokuk hain 'talib' ye hai nasib ka likkha kahen jise