mera panw zer-e-zamin hai pas-e-asman mera hath hai kahin beach mein mera jism hai kahin darmiyan mera hath hai ye nujum hain meri ungliyan ye ufuq hain meri hatheliyan meri por por hai raushni kaf-e-kahkashan mera hath hai mere jabr mein hain latafaten meri qadr mein hain kasafaten kabhi khaliq-e-shab-e-tar hai kabhi zau-fishan mera hath hai kisi bahr-e-khwab ki sath par mujhe tairna hai tamam shab meri aankh kashti-e-jism hai mera baadban mera hath hai abhi harf lams-e-visal ke kisi mantaqe pe ruka nahin abhi gung mera wajud hai abhi be-zaban mera hath hai