mera qatil to mera aashna hai musalsal dard mein dil mubtala hai na ab ke ho gai sham-e-ghariban na jaane kab mera khema jala hai ba-zahir zindagi to kat rahi hai basar karni ajab sa masala hai meri palkon pe hai be-faiz dariya magar chehra to dasht-e-karbala hai bichhadte waqt mujh par hansne wala abhi kis gham mein itna ro raha hai tumhaare sath rahna tha muqaddar magar yun dur hona saneha hai jawan lashen uthai ja rahi hain meri basti to misl-e-karbala hai