mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se liya hai rahbar ka kaam aksar main ne dushman se wo moti hun jo kho jata hai sahil mein samundar ke wo dana hun bikhar ke dur hota hai jo khirman se faza sahra ki aankhon se jo dekhen hain wo kah denge gul-e-khud-rau ka aalam kam nahin gul-ha-e-gulshan se kisi ki dosti yun khak mein koi milata hai mere bare mein tum aur mashware lete ho dushman se tamasha dekhiye mahshar mein qatil mujh se ladta hai ki apne khun ka dhabba chhuda de mere daman se zamin se aasman tak chha rahi jo ye udasi hai bagula koi uttha hai kisi bekas ke madfan se qarib-e-dar pahunch kar yun ghash aane ka sabab aakhir ye mumkin hai jhalak us ki nazar aai ho chilman se har aafat se chaman mahfuz hai ab to ye sunta hun adawat barq-e-sarsar ko thi mere hi nasheman se gharaz kya bahas-o-hujjat se hamara to ye mashrab hai jahan tak ho kinare hi rahe shaikh-o-barahman se 'hafiz' us ko samajh le khub hain ye kaam ki baaten agar rifat-talab hai jhuk ke mil har dost dushman se