mere ghar ke log jo ghar mujhi ko supurd kar ke chale gae mera bar-e-gham na utha sake to mujhi pe dhar ke chale gae kabhi ghar hamare wo aa gae to likha nasib ka dekhiye koi baat un se na ho saki wo zara thahar ke chale gae jahan lutf-e-sair na pa sake na jahan ka haal bata sake jahan zindagi mein na ja sake wahan log mar ke chale gae koi baat un se karega kya wo jawab le ke phirega kya unhen dekh kar jo hawas hi mere nama-bar ke chale gae hai sara-e-dahar ajab makan jo musafir aa ke rahe yahan kabhi tin din kabhi chaar din wo thahar thahar ke chale gae nahin aaj rang wo khalq ka kabhi ye zamane ka haal tha hamein sar pe apne bitha liya jo kisi bashar ke chale gae hai adam ka sakht wo marhala jahan apna apna hai rasta wo safar nahin ye jo sath hum kisi ham-safar ke chale gae tere pasban se tera pata kabhi hum ne puchha to ye mila ki makan se wo sar-e-sham hi kahin ban-sanwar ke chale gae unhen bazm-e-ghair mein dekh kar kahen kya 'rashid' ki kya hua kabhi zabt kar ke thahar gae kabhi aah bhar ke chale gae