mere is tapida khun mein koi tegh si dhale to jo maraz bana hai mera yahi gham dawa bane to ye jahan-e-atish-o-khun yahi rang ang us ka dil-e-narm khud bhi mera isi rang mein dhale to wo hazar wahshaten jo mere khun mein nachti hain kabhi ek aisa mela sar-e-bazm bhi saje to meri khasta rozgari mere aade thi wagarna main bhi ku-ba-ku nikalta mere pas khwab the to sar-e-waqt kya likha hai wo bhi dekh lenge 'kawish' dil-e-band par junun ke nae bab wa hue to