mere khwabon ko mujh se gila rah gaya main haqiqat mein hi mubtala rah gaya main bhi qisse sunata safar ke magar yaad mujh ko bas ek marhala rah gaya rah gae kitne kirdar bhitar mere mere bhitar mera qafila rah gaya faslon mein raha qurbaton ka guman qurbaton mein kahin fasla rah gaya khairiyat puchhna aur batana kabhi nisbaton mein yahi silsila rah gaya koi kundan hua to koi koela ek main hi tha jo adh-jala rah gaya taul ke beche the main ne tukde sabhi jaane kaise ye dil antula rah gaya zindagi ji to li sharton pe apni ab kya karun is ka ye jo sila rah gaya