mere lahu ko mere zakhm ki dawa kahiye jale makan ke dhuen ko hi ab saba kahiye bilakte shahar ki galiyon se ugne wali sahar sahar nahin hai use raat ki qaza kahiye lahu rulati rahi jo wafa ki ta'biren wafa na kahiye ise ab ise jafa kahiye badhega zulm to uth jaega lihaz-o-adab hamara hath jo utha to muqtaza kahiye sabhi ne sabr ki talqin ki hamein lekin chhalak bhi jae ye saghar kabhi to kya kahiye