mere mustaqbil mein bhi kuchh likkha kya tum ne mere bare mein kuchh socha kya main to tum ko apna man ke chalta hun dil mein tum bhi rakhte ho kuchh aisa kya ye tera hai ye mera hai chhodo bhi in be-kar ki baaton mein hai rakkha kya tum ne hi to bola tha khamosh raho aise mein kuchh kahta main to kahta kya jite ji sab kuchh pane ko marte hain mar jaane par hath mein kuchh bhi rahta kya