mere najm-e-khwab ke ru-ba-ru koi shai nahin mere dhang ki ye falak hai kisht-e-ghubar sa ye zamin hai pani ke rang ki kisi sham mere jilau mein tha koi khwab wusat-e-shahr ka kisi subh mere wajud par ye zamin logon ne tang ki meri be-kali ka subut hai meri shama-e-khwab ke samne koi garm mauj guman ki koi sard lahr umang ki mere aasman ke liye na tha koi phul aatish-e-subh ka so mere lahu ke charagh ne kai sard raaton se jang ki mere khak-dan ki sipar to hai kisi mauj-e-tez se aaina mere khwab-e-satez ki tegh par wahi ta damakti hai zang ki