mere panw mein pael ki wahi jhankar zinda hai

mere panw mein pael ki wahi jhankar zinda hai
mohabbat ki kahani mein mera kirdar zinda hai

usi ke nam se har-waqt mera dil dhadakta hai
main zinda is liye hun ki mera dildar zinda hun

jahan kal har qadam par muskurahat raqs karti thi
main khush hun aaj bhi wo raunaq-e-bazar zinda hai

yahan dekha hai main ne khud-suron ko khak mein milte
tera sar jhuk gaya lekin mera inkar zinda hai

musawwir ne to sari dilkashi taswir mein bhar di
rahega fan salamat jab talak fankar zinda hai

meri tahzib mere sath hai mahw-e-safar har-dam
mere afkar zinda hain mera izhaar zinda hai

'iram' par dhup ka ehsas ghaalib aa nahin sakta
mere sar par abhi tak saya-e-diwar zinda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close