mere sukhan mein nae rang bharne wala hai falak se chand zamin par utarne wala hai ye ek kaam to har shakhs karne wala hai jo ji raha hai yaqinan wo marne wala hai ye saneha hai ajab khema-e-badan se pare suna hai qafila-e-jaan thaharne wala hai nazar jhuka ke meri samt dekhiye sahib sitara khak se meri ubharne wala hai samet rakkha hai jis ko rida-e-furqat mein wo nur-e-wasl koi dam bikharne wala hai nahin khabar hai kisi ko azab chikhon ka samaaton ki zamin par utarne wala hai hun sang-e-rah koi shisha-e-jamal nahin ye kaun dekh ke mujh ko sanwarne wala hai raha jo khwab mein tamsil-e-aina ban kar meri nazar se wo manzar guzarne wala hai kahin tabah na kar de use ye khabt 'ashhar' hawa ke par wo shikari katarne wala hai